Four lines Urdu Poetry SMS

Kuch ishq tha kuch majboori thee, so main nay jeevan vaar dia
Main kaisa zinda aadmi tha , ek shakhs nay mujh ko maar dia
Main khuli huee ek sachaayee mujhe jaan-nay walay jantay hain
main nay kin logon sey nafrat kee aur kin logon ko pyaar dia..
====

Mujhy Chhor Day Meray HaaL Par,
Tera Kya Bharosa Aey Hum Safar. . .!

Teri Mukhtasar Si Nawazishain
Mera DarD Aur Barhaa Na Dain..!!

====

Ye wafa ka silaa hai to koi baat nahi,
Ye dard apno ne diya hai to koi baat nahi,

Yehi bahut hai ki vo dekh rahe hai kinare se,
Hum dub rahe hai to koi baat nahi…..

========

Tu Chala Gaya Mujhe chhor kar,
Maine phir bhi Tujhko Sadaayen dii,

Mere HumSafar tu ruka Nahi,
Ye Meri Sada ki Shikast hai…

Urdu Two Lines Poetry – 2 line for SMS

Beth jata hoon khaak per aksar,
Apni aukaar achi lagti hai..

——–

Aadat Mujhe Andhero’n Main Darne Ki Dal Kar,
Ek Shakhss Meri Zindagi Ko Raat Kar Gaya..

—————

“Faraz” Mohabbat Ke iLawa Paas Apnay Kuch Nahi
Isi Doulat Ko Ham Qismat Ke Maaray Baant Laitay Hain

————

Phir Mera Ghar Nahi Mila Hoga
Eid Is Saal Bhi Nahi Aayi…….!!

————

Tumhain bhulana hi awal to dastras mein nahin,
Jo ikhityaar bhi hota to kya bhulaa dete ?

————-
Ek Bas TU Hee Nahi Mujhse Khafa Ho Baitha
Main Ne Jo Sang Taraasha Vo Khudaa Ho Baitha

———-

Kar Gaya Na Ishq Barbaad,
Aur Geet Gao Muhabbat Ke..

Sad Shayre Sms

Suno ke ab hum Gulaab deinge Gulaab leinge

Mohabbaton mai ab koi khasaara nahi chalega..♥

==========

main aur mera rab, roz bhool jaate hain
main uski ataon ko, wo meri khataon ko
========

Humne Hamare Ishq Ka, Izhaar Yun Kiya,
Phoolon Se Tera Naam, Pathron Pe Likh Diya

===========

Aik choti si galti pr wo muje chor gya,,,

Jaisy wo sadiyoon sy meri galti ki talash main tha….

======

Phool Mazaar Tak Nahi Pahuncha Daaman-E-Yaar Tak Nahi Pahuncha,
Ho Gaya Vo Kafan Se To Aazaad Phir Bhi Gulzaar Tak Nahi Pahuncha

======
KehnEy kOO BohuT Si BaaTaEyn Hain iSs DiLL Mein
MukhTaSir LafzOOn Mein , Meri AakhRi KhwahiSh hO TuM

====
Aesa kya likhoon ke tere dil ko taskeen pohanchey,
Kya yeh kaafi nahin ke meri duaayon mein tum ho…

New sad shayre sms .com

Sufi Shayari Sms Messages

qaffas ko torr de ya jan se guzar ja mjboriyun me jeena toheen e zndagi hy

===

Isi Liya To Bachon Pe Noor Sa Barasta Hai

Sharartain To Karte Hain , Saazishain Nahi Karte

===

Dabi Dabi Si Wo Muskarahat Labon Pa Apna Saja Saja K,

Wo Naram Lehja Main Baat Karna
Ada Sa Nazrain Jhuka Jhuka K,

Wo Aankh Teri Shararti Si
Wo Zulf Matha Pa Nachti Si,

Nazar Hatay Na Ek Pal Bi Main Thak Gya Hon Hata Hata K,

Wo Tera Hathon Ki Unglion Ko
Milla Ka Zulfon Main Kho Sa Jana,

Haya Ko Chehray Pa Phir Sjana
Phool Chehra Khila Khila K,

Wo Hath Horon Ka Ghar Hon Jaisa
Wo Paon Paryon Ka Par Hon Jaisa,

Nahi Ha Teri Misal Jana,
Main Thak Gya Hon Bata Bata K…

Sufi Shayari Sms Mesaages

===

* Hijjar wal takkan te hijjra kehlavan . mann di sunna, samajh na pavaan? . dass kiththe javan, kiddey geet gaavaan . beeteya bela, beetieya savan , . langiyan umaran langda zamana… . . . * na mein pooja paat jo kithi, na mein ganga naaya . na mein panj namaazan parian,te na tasbah karkaya . na mein rozai rakeh, te na mein chilla kamaya . bulleh shah nu murshad milya,une aven ja bakhshaya… . . . * ishk na hosi dil wich, rab na hosi razi . na ban mumin na ban kafir, na pandath na kazi . bulleh shah ut yaar manle, la ke sirr di baazi… . .

===

Love Shayari Sms

Dil-o-dimagh mutfiq na huye Pak-o-hind ki tarah,

Yeh mohabbat mujhe masla-e-kashmir lagti hai..

 

===

 

Mere ishq se mili hai tere husn ko yeh shohrat,

Tera zikr hi kahan tha meri dastaan se pehle..

 

===

 

itna maloon hota hai jata hn kaheen

koi hai mujh main kah mujh sa liaay jata hai mujhe

 

==

 

hum ko in say hai wafa ki umeed

jo naheen jaantay wafa kia hai

===

baagh ma lagta nahi sahraa sa ghabrata hai dil

ab kahan lay jaa kar bethain aisa dewana ko hum

Amjad Islam Amjad Poetry

Main azal ki shaakh se toota hua,
Phir raha hoon aaj tak bhatka hua,

Dekhta rehta hai mujhe ko raat din,
Koi apne takht per betha hua,

Chand taare dur peechey reh gaye,
Main kahan par agaya urta hua,

Band khirki se hawaa ati rahi,
Aik sheesha tha kahin toota hua,

Khirkiyon mein, Kaghzon mein, Maiz per,
Saarey kamre mein hai woh phelaa hua,

Apne maazi ka samundar chaaniye,
Ik khazaana hai yahan dooba hua,

Doston ne kuch sabak aese diye,
Apne saaye se bhi hoon sehma hua,

Kis ki aahat atey atey ruk gayi,
Kis ne mera saans hai roka hua?